Saturday, 27 February 2016

Aqeeq pather or Agate stone identity and benfits

Agate stone( Aqeeq pather)



Aqeeq aam toor par sastay damon ma mill jata hai. Iss waja sa awaq  k lie qabil hasul hai. Aqeeq k 
rang ya hotay hain :-
Zard rang
White
Zard or surkh rang
Zaday maiel rang
Sufaiedy maiel rang
In rangon ma surkh rang sab sa ziada behter hai. Iss k faieday bohat sa hian
Aqeeq danton ko jala deta hai or mazbot karta hia . jis insaan ko daton ka masla ho us k lie aqeeq behter hai
Ganday zehn ko door karta hia . zehn ko paak or saaf karta hai.
Dilo demagh ko tez or tandrust krta hai or rokhat deta hia.
Blood ko clean karta hai or skin k problems ko door karta hia
Pimples wgera sa hifazat krta hia
Akser loog is barket or qaboliat k lie b pehntay hain.
Ya dajza doem ka pather hai be shamar rangon or iqsaq ma paya jata hai . ya bhi tamaam mzahib ma mutbarik mana jata hia , ya wo pather hai jo sooraj sa anay wali ultra violet rays ko jazab kar k or neutral kar k jisam ma dakhal karta hia. Jis k waja sa insane tamam bemarion  sa mehfooz rehta hia. Or sooraj ki twanai hasil hote hai. Ya bhoora zard rang , surakh rang , or aqeeq yamni chotay saez k pather nhaiyet sasti qeemat ma mill jatay hain.
Iss pather k qai qisam or bohat sa rang hain . suraqah zard sufaed , siyah .
Hadeees sharif ma aya hian , jis k hath ma aqeeq ki angashtri ho us ko pehnanay walaay ko gham laheq nahi ho ga. Iss ki koen hajat nahi atakti , dushmah or preshanion sa door rehta hai.

Rozi ma izafa hota hia. Jis k hath ma aqeeq ho wo darham o denar sa khali nahi rehta . 

Astro stones and their effects of human life or pather k insani zindagi pa asraat


Surah rehman ma allah tallah ka irshad hai :-


"Chlaye do darya mil kar chalnay walay , in dono ma ik parda hai k ik dosray  par ziadti na kray . phir kiya kiya naimten apnay Rab ki jhutlao gay , nikalta hai in dono mai sa moti or monga."

Allah tallah in ya tazkra nahi kiya hai k moti or mogay k rang mukhtalif hotay hain or in ki kasiyeten b mukhtalif hoten hain balkay lafzon par goor karnay sa ya pta chalta hai k wo do pani jo sumander ma chal rhay hain, mukhtalif rang rakhtay hian lakin ya ik rang ka pani dosray rang k pani sa bilkul nahi milta .
allah tallah na iss baat ko asaas qarar diya hia. iss k bad moti or marjaan ka tazkra kiya hai.
maqsad ya hai k rangon ma ta-saraat hain . ya asool buniaydi hai, chahay wo pani mai ho , sheshay ma ho , mati  ya dahaat mai ho .
yhan humen ya batana maqsood hai k asraat rangon mai hotay hain or jhan tak anghoti ma pather ya nagina pehnanay ka taluq hai , mamoli nagina b apnay rang ki bina par wohi kasiyat rakhta hai jo qimati pather rakhta hai .